
Aaj Ki Dua
Yahaan roz ki chhoti, aasaan aur zyada padhi
jane wali duas di gayi hain.
🔹Dua 1 - Bismillah Ki Dua
Bismillah hir-Rahman nir-Raheem
(Shuru karta hoon Allah ke naam se,
jo bada
Meherbaan aur Raheem hai.)
—
Hadith:
“Har aham kaam jo Allah ke naam se shuru na ho, woh naqis hota hai.”
Sunan Ibn Majah — Hadith 1894
🔹Dua 2 - Ghar se Nikalne ki Dua
Bismillah, tawakkaltu ‘alallah, wa laa hawla wa laa quwwata illa billah.
(Allah ke naam se nikalta hoon, aur Allah
par bharosa karta hoon.
Aur na koi taqat hai, na koi quwwat hai, magar sirf Allah ki)
Sunan Abi Dawood — Hadith 5095
(Ye hadith Sahih hai — Sheikh Albani ne isko Sahih kaha.)
🔹Dua 3 - Maafi ki Dua
Astaghfirullaha Rabbi min kulli zambin
wa atubu ilayh.
(Ae mere Rabb, main har gunaah se
maafi maangta hoon.)
Nabi ﷺ farmate hain:
“Main ek din mey 100 martaba Allah se istighfar karta hoon.”
Sahih Muslim — Hadith 2702
🔹Dua 4 - Taqwa ki Dua
Allahumma inni as’aluka al-hudā wat-tuqa wal-‘afāfa wal-ghinā
(Ya Allah! Main tujh se hidayat, taqwa, paakizgi
aur be-niyazi maangta hoon.)
Sahih Muslim — Hadith 2721
🔹Ek Motivational Line
Dua se takdeer badal sakti hai
“Duā qadr (taqdeer) ko badal deti hai.”
— Sunan at-Tirmidhi, Hadith 2139
(Shaykh Albani ne isko hasan kaha hai)
Back to Home |
Back to Top