Har namaz ki har rakat mein padhijaati hai. Iske bina namaz nahi hoti. Isko "Ummul Quran" (Quran ki maa) kehte hain.
Tauhid (Ek Allah ki taleem) ka poora syllabus 4 lines mein. Prophet (ﷺ) ne farmayayeh yeh Surah Quran ke ek-tihai (1/3rd) ke barabar hai. Har roz padhne ka sawab bahut hai.
In donon ko "Al-Mu'awwidhatayn" (Panaah maangne wali) kehte hain. Nazar, jealousy, buri nazar, whispers (waswasa) se bachne ke liye rooz shaam-subah padhte hain. Bahut asaani se yaad ho jaati hain.
Isme Allah ne Rasool (ﷺ) ko Jannat ki nahr (Kawthar) ka khushkhabri di. Har baar namaaz mein padh sakte hain, bahut jaldi yaad ho jaati hai.
Zindagi ka poora formula 3 lines mein. Isme Allah ne kasam kha kar bataya ke sab waqt ki kasam kha raha hoon, insaan nuqsan mein hai, siwaye unke jo iman laaye, achhe kaam kare, aur haq aur sabr ki nasihat karein. Bahut powerful message chhota Surah main.